Naa Jaane poem by Sukeerti Nandihal
Hindi - Poetry

Naa Jaane!?

Naa jaane kaun si disha,
Naa jaane kaun si raah,
Sochta hai mann mera!

Naa jaane kispe vishwaas,
Naa jaane kitna ho vishwaas,
Kehta hai dil mera!

Naa jaane kaun sa mod,
Naa jaane kaise din ,
Sochta hai mann mera!

Naa jaane kitne khwaab,
Naa jaane kitne aarzoo,
Kehta hai dil mera!

Naa jaane kya sach hai,
Naa jaane kya hai mithya,
Sochta hai ye mann mera!

Naa jaane kab milega sukoon,
Naa jaane kab hogi nai shuruat
Sochta hai dil mera!!

My muses reflect my instance of thinking, which brings me to new reflections and enchantments. I call them as my tiny musings.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *